meri jaan sarsari milne se kya malum hota hai parakhne se bashar khota khara malum hota hai tumhaare dil mein aur mera tasawwur ho nahin sakta tumhaare dil mein koi dusra malum hota hai tere qadmon se ye virana jannat ho gaya goya mujhe duniya se apna ghar juda malum hota hai mujhe tum bewafa kahte ho achchha bewafa hun main magar ye muddai ka muddaa malum hota hai tumhaare dil mein jo kuchh aae pinhan rah nahin sakta tumhaara dil to koi aaina malum hota hai adl ki shakl se zahir us ka dil shikasta hai chaman mein aur koi gul khila malum hota hai faqiron ki sada sun kar mere dhoke mein kahte hain sikha malum hota hai 'sakha' malum hota hai