meri jabin ka muqaddar kahin raqam bhi to ho

meri jabin ka muqaddar kahin raqam bhi to ho
main kis ko samne rakhun koi sanam bhi to ho

kiran kiran tera paikar kali kali chehra
ye lakht lakht badan ab kahin baham bhi to ho

mere nasib mein aakhir khala-nawardi kyun
meri zamin hai to us par mera qadam bhi to ho

har ek shakhs ne katba utha rakha hai yahan
kisi ke hath mein aakhir koi alam bhi to ho

guzar lamhe sahifa ba-dast utrenge
tere nasib mein faizan-e-chashm-e-nam bhi to ho

bas ab to chhed de ai mutriba ghazal koi
tarab-kade mein wo shahzadi-e-alam bhi to ho

'rashid' lab pe hansi hai to aankh nam kar le
nai khushi ke muqabil purana gham bhi to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close