misal-e-dast-e-zulekha tapak chahta hai ye dil bhi daman-e-yusuf hai chaak chahta hai duaen do mere qatil ko tum ki shahr ka shahr usi ke hath se hona halak chahta hai fasana-go bhi kare kya ki har koi sar-e-bazm maal-e-qissa-e-dil dardnak chahta hai idhar udhar se kai aa rahi hain aawazen aur us ka dhyan bahut inhimak chahta hai zara si gard-e-hawas dil pe lazmi hai 'faraaz' wo ishq kya hai jo daman ko pak chahta hai
Please share if you liked this!!!