miThi hai aisi baat uski

mithi hai aisi baat us ki
laundi hai ek nabaat us ki

samjha na main ek baat us ki
mujh par kya kaenat us ki

aalam hai be-sabaat ai dil
ek zat ko hai sabaat us ki

mah us ka hai aaftab us ka
din us ka hai aur raat us ki

kis munh se karun main wasf us ka
hai aql se dur zat us ki

mimber pe jo bak raha hai waiz
kab sunta hun khair baat us ki

hai daulat-e-husn pas tere
deta nahin kyun zakat us ki

hai jo ki shahid tegh-e-taslim
hai misl-e-khizar hayat us ki

dam de ke na naqd-e-dil ko le-le
chal jae kahin na ghat us ki

jo dil ki hai gharq bahr-e-duniya
kyunkar hogi najat us ki

dil jata hai su-e-ku-e-qatil
khaliq rakhe hayat us ki

dam de ke le aaya yar ko dil
kya rah gai aaj baat us ki

tanha nahin 'muntahi' kisi ja
taqdir hai us ke sath us ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close