mujh par nigah-e-gardish-e-dauran nahin rahi shayad kisi ki zulf-e-pareshan nahin rahi wahshat tak aa gaya hai mohabbat ka silsila ab mujh ko fikr-e-jeb-o-gariban nahin rahi mere jigar mein khun ke qatre nahin rahe un ki nazar mein barash-e-pinhan nahin rahi zauq-e-talab se teri inayat badh gain meri nazar mein wusat-e-daman nahin rahi dil yun bujha bujha sa hi kho kar tumhaari yaad mahfil mein jaise sham-e-farozan nahin rahi kis darja dil-shikan hai gulistan ka inqalab bulbul bhi ab chaman mein ghazal-khwan nahin rahi 'iqbaal' sard ho gai bazm-e-hayat bhi jab se dilon mein aatish-e-sozan nahin rahi