nahin chamke ye hansne mein tumhaare dant anjum se nikal aai tadap kar barq aaghosh-e-tabassum se karo tum mujh se baaten aur main baaten karun tum se kalim-ullah ho jaun main ejaz-e-takallum se sada-e-lan-tarani aati hai un ke takallum se gira den tur-e-dil par saiqa barq-e-tabassum se falak ko wajd hoga ai pari tere tabassum se utar aaegi zohra raqs karti bazm-e-anjum se ye shauq-e-mai-kashi majnun bana kar mujh ko laya hai nikal aae kahin laila-e-mai bhi mahmil-e-kham se kiya danton ko rangin wah rahi baaton ki rangini lagi aab-e-guhar mein aag lo barq-e-tabassum se samand-e-naz ki tapon se sar takraen sab aashiq pila sharbat shahadat ka kisi din kasa-e-sam se jo wo mehr-e-siphar-e-husn nache apni mahfil mein to zohra mashal-e-mah le ke aae bazm-e-anjum se usi din phul hain jis din wo gul turbat pe aa baithe siwum se kuchh gharaz mujh ko na kuchh matlab hai panjum se jo uljhe mohtasib maikhane mein hum jaen masjid ko khuda ke ghar chalen sar phod kar khisht-e-sar-e-khum se firaq-e-yar mein meri tarah se ye bhi roe hain sawad-e-shab nahin kajal baha hai chashm-e-anjum se hua main rind-mashrab khak mar kar is tamanna mein namaz aakhir padenge wo kisi din to tayammum se wahi chitwan wahi tewar meri aankhon mein phirte hain ghazab mein pad gaya dekha abas tum ne tarahhum se kahan tak ediyan ragden gala kato gala kato uthao tum na khanjar baz aaya is tarahhum se jo wada karte ho to sadma-e-furqat na dikhlana masiha hote ho mashhur ji uthta hun main tum se mudallal jo sukhan apna hai wo burhan-e-qatea hai tabiat mein rawani hai ziyaada haft-qulzum se mare hain ishq mein ek gul ke kyun quran mangate ho padhi jae gulistan mein siwum mein bab-e-panjum se jo pahunche ta-falak shohra tumhaari khud-faroshi ka kharidari ko aae mushtari bazar-e-anjum se ewaz chune ke gara lae mai ka chahiye saqi hamari qabr agar pakki ho to khisht-e-sar-e-khum se hamesha khak chhanwaoge misl-e-qais sahra ki 'qalaq' ko ye na thi ummid ai laila-manash tum se