nasha nasha sa hawaen rachae phirti hain khila khila sa hai mausam tere sanwarne ka main aks aks chhupa hun hazar shishon mein mujhe hai shauq ye rangon se ab guzarne ka kategi dor na jab tak ulajhti sanson ki tamasha khub rahega ye rup ubharne ka ye roz roz sitaron ka tutna 'arif' sabab bana hai zamin ke shigaf bharne ka