raushni tak raushni ka rasta kah lijiye

raushni tak raushni ka rasta kah lijiye
raat ko sham-o-sahar ka fasla kah lijiye

de gai kitni bahaaren ek fasl-e-arzu
rang-o-bu ko mausamon ka khun-baha kah lijiye

gunjti hai umr-e-viran mein tamanna ki thakan
harf-e-gham ko gumbad-e-jaan ki sada kah lijiye

kund aakhir kar gain talwar ko khun-reziyan
dosti ko dushmani ki intiha kah lijiye

baal-o-par khulte nahin jin ke nasheman ki taraf
un udanon ko hawaon ki ghiza kah lijiye

mausam-e-gul dekhiye khulte darichon ke tale
baam-o-dar ko shahr ki aab-o-hawa kah lijiye

kuchh nahin milta 'samad' patthar ko teshe ke siwa
aazari ko aazari nam-e-khuda kah lijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close