saqi bhale phaTakne na de pas jam ke

saqi bhale phatakne na de pas jam ke
niyyat to bandh sakte hain pichhe imam ke

qadmon mein den jagah hamein ahl-e-karam kahin
hum randgan hain sajda-gah-e-khas-o-am ke

aankhon ki baat chhid gai baaton ke darmiyan
mai-khane wale rah gae paimane tham ke

waiz ko unch-nich mohabbat ki kya pata
ye masale nahin ulama-e-kiram ke

kya khub wahi pir-e-kharabaat ko hui
jhagde hain sab haram halal-o-haram ke

do-chaar ashk haal pe mere bahaiye
shabnam gire labon pe kisi tishna-kaam ke

aata na ho baraat sitaron ki le ke chand
rukhsar surkh kyun hue jate hain sham ke

insan hain farishta-o-iblis hum nahin
qail nahin ruku-o-sujud-o-qayam ke

ahl-e-zamana un se na bandhen tawaqquat
ushshaq aadmi hain hasinon ke kaam ke

shahr-e-butan mein hain jo dar-e-mai-kada pe dafn
pahunche hue buzurg the 'rahil' nam ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close