rind betab hain ghanghor ghaTa chhai hai

rind betab hain ghanghor ghata chhai hai
mai-kade gunj rahe hain wo bahaar aai hai

bazm-e-aghyar mein us ne mujhe daryaft kiya
baad muddat ke use yaad meri aai hai

kat hi jati hain kisi tarah hamari raaten
gham salamat rahe wo monis-e-tanhai hai

qatl karne ko mere aate hain wo tegh-ba-dast
main samajhta hun mere haq mein masihai hai

un ko ye zid hai na dekhenge kabhi meri taraf
main ne bhi dar se na uthne ki qasam khai hai

hai ye rindon ke taaqub mein koi raaz amiq
warna auron se bhi waiz ki shanasai hai

puchhne aae hain wo haal mera ai 'hafiz'
zoaf se salb yahan taqat-e-goyai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close