sabr-o-sukun kahan hai tere intizar mein

sabr-o-sukun kahan hai tere intizar mein
dil ikhtiyar mein na nazar ikhtiyar mein

furqat ki baat tak bhi gawara na thi jise
tare wo gin raha hai shab-e-intizar mein

allah re ye baada-e-rangin ki shokhiyan
zahid ko pini pad gai ab ki bahaar mein

yaad-e-jamal-e-dost ke qurban jaiye
taskin pa raha hun dil-e-be-qarar mein

jab tum ho mere pas khizan bhi bahaar hai
tum hi nahin to kaise lage dil bahaar mein

'jauhar' wo aaj aae hain thame hue jigar
kitna asar hai nala-e-be-ikhtiyar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close