sahra pe bura waqt mere yar pada hai diwana kai roz se bimar pada hai sab raunaq-e-sahra thi isi pagle ke dam se ujda hua diwane ka darbar pada hai aankhon se tapakti hai wahi wahshat-e-sahra kandhe bhi batate hain bada bar pada hai dil mein jo lahu-jhil thi wo sukh chuki hai aankhon ka do-aba hai so be-kar pada hai tum kahte the din ho gae dekha nahin us ko lo dekh lo ye aaj ka akhbar pada hai odhe hue ummid ki ek maili si chadar darwaza-e-bakhshish pe gunahgar pada hai ai khak-e-watan tujh se main sharminda bahut hun mahngai ke mausam mein ye tyauhaar pada hai
This is a great darbar ni shayari. Please share if you liked this!!!