sahra-pasand ho ke simaTne laga hun main

sahra-pasand ho ke simatne laga hun main
andar se lag raha hai ki batne laga hun main

kya phir kisi safar pe nikalna hai ab mujhe
diwar-o-dar se kyun ye lipatne laga hun main

aate hain jaise jaise bichhadne ke din qarib
lagta hai jaise rail se katne laga hun main

kya mujh mein ehtijaj ki taqat nahin rahi
pichhe ki samt kis liye hatne laga hun main

phir sari umr chand ne rakkha mera khayal
ek roz kah diya tha ki ghatne laga hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close