sar-sar gesu hila rahi hai

sar-sar gesu hila rahi hai
sar par kale khila rahi hai

furqat mein khun rula rahi hai
taqdir ye rang la rahi hai

daghon se dil jala rahi hai
ulfat sikke bitha rahi hai

daman mein hai tere bu-e-kakul
kyun mujh ko saba uda rahi hai

haal-e-tap-e-hijr kuchh na puchho
dil kha chuki jaan kha rahi hai

jheli hui hai jafa tabiat
barson hi mubtala rahi hai

kisra mahal na taq-e-jam hai
ai dil kis ki sada rahi hai

marta hai dil buton ke upar
taqdir pahad dha rahi hai

tifli-o-jawani khub guzri
do din achchhi hawa rahi hai

udti hai khak us jagah par
barson jis ja faza rahi hai

ye bint-e-inab bahaar-e-gul mein
yaron ki bhi aashna rahi hai

lati nahin bu-e-yar nighat
us dil ki lagi bujha rahi hai

hum bhi the kabhi jawan raana
apni bhi kabhi hawa rahi hai

khulta nahin haal gul ka bulbul
shabnam pani chua rahi hai

ye fasl-e-bahaar be-khudi ka
rasta hum ko bata rahi hai

gulshan mein urus-e-gul ke upar
shabnam moti luta rahi hai

phule nahin gul chaman ke andar
wahshat aankhen dikha rahi hai

fiqre se le aae us sanam ko
kyun 'muntahi' baat kya rahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close