jis dam ye suna hai subh-e-watan mahbus faza-e-zindan mein jaise ki saba ai ham-qafso betab hum aae zindan mein ho tegh-e-asar zanjir-e-qadam phir bhi hain naqib-e-manzil hum zakhmon se charagh-e-rahguzar baithe hain jalae zindan mein sad-chaak qaba-e-amn-o-sukun uryan hai ahinsai ka junun kuchh khun se shahidon ne apne wo gul hain khilae zindan mein ye jabr-e-siyasat ye insan mazlum aahen majbur fughan zakhmon ki mahak daghon ka dhuan mat puchh faza-e-zindan mein ghairon ki khalish apnon ki lagan soz-e-gham-e-jaanan dard-e-watan kya kahiye ki hum hain kis kis ko sine se lagae zindan mein gul banti hai shayad khak-e-watan shayad ki safar karti hai khizan khushbu-e-bahaaran milti hai kuchh din se hawa-e-zindan mein mujrim the jo hum so qaid hue sayyaad magar ab ye to bata har waqt ye kis ko dhundte hain diwar ke sae zindan mein jismon pe ye kis ka nam-e-siyah likh dete hain kodon ke nishan hain tak mein kis ki zanjiren ab aankh lagae zindan mein raftar-e-zamana lai jin ki gati hai gul-e-naghma jin ka hum gate hain un aawazon se aawaz milae zindan mein