tere kanon mein koi baat batani thi hamein

tere kanon mein koi baat batani thi hamein
dil mein sakhiyon ke teri aag lagani thi hamein

hamein bazar ne thukraya to ghar laute hain
ek mohabbat to bahr-e-haal nibhani thi hamein

chandni aap ki aankhon mein bhali lagti hai
ho ijazat to zara umr bitani thi hamein

rang darkar the hum ko teri khamoshi ke
ek aawaz ki taswir banani thi hamein

hamein cigarette bhi to pini thi nikal kar ghar se
apni ungli pe ye duniya bhi nachani thi hamein

tazkira is ka nahin ishq bachaya kis ne
masala ye tha ki ab jaan bachani thi hamein

aaj hum us ke dupatte ki mahak se hain bandhe
wahi ladki jo kabhi dushman-e-jaani thi hamein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close