tum ho sharik-e-gham to mujhe koi gham nahin duniya bhi mere waste jannat se kam nahin chaha hai tujh ko tujh pe lutai hai zindagi tere alawa kuchh mera din-o-dharam nahin wo bad-nasib rahat-e-hasti na pa saka jis pe mere habib ki chashm-e-karam nahin main banda-e-sanam sahi kafir sahi magar pae mera maqam kisi mein ye dam nahin us raste mein sar ko jhukana haram hai jis raste mein aap ka naqsh-e-qadam nahin ai aane wale apni jabin ko jhuka kar aa ye aastan-e-yar hai ku-e-haram nahin ahl-e-junun ka is liye mashrab juda raha waqif niyaz-e-ishq se shaikh-e-haram nahin munkir rah-e-wafa mein 'fana' kis tarah se ho mera jahan mein koi wajud-o-adam nahin