yaad ki basti ka yun to har makan khali hua bas gaya tha jo khala sa wo kahan khali hua raat bhar ek aag si jalti rahi thi aankh mein aur phir din bhar musalsal ek dhuan khali hua khud-ba-khud ek dasht ne tashkil pai aur phir lamha bhar mein ek shahr-e-be-karan khali hua aaj jab us lutf-e-saya ki zarurat thi hamein kam-nasibi ye ki dast-e-mehrban khali hua rafta rafta bhar gaya har sud se apna bhi ji rafta rafta dil se ehsas-e-ziyan khali hua aaj se hum bhi akele ho gae is bhid mein dhyan mein tha jo bhara sa aasman khali hua