wo dil kahan hai ahl-e-nazar dil kahen jise

wo dil kahan hai ahl-e-nazar dil kahen jise
yani niyaz-e-ishq ke qabil kahen jise

zanjir-e-gham hai khud meri khwahish ka silsila
ya zulf-e-kham-ba-kham ki salasil kahen jise

milta hai mushkilon se kisi ke huzur ka
wo ek lahza zist ka hasil kahen jise

kashti shikastgan-e-yam-e-iztirab ko
tera hi ek nam hai sahil kahen jise

pati nahin farogh ba-juz soz-o-saz-e-ishq
sham-e-hayat dar-khur-e-mahfil kahen jise

is dil ko shad rakhne ki khidmat mili mujhe
gham-ha-e-rozgar ki manzil kahen jise

is daur-e-qadr-dan-e-sukhan mein ye ittifaq
shair wahi hai raunaq-e-mahfil kahen jise

'mahrum' chaak-e-sina-e-har-gul mein hai wo chiz
tasir-e-nala-ha-e-anadil kahen jise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close