main tujhe aaya hun iman bujh kar bais-e-jamiyyat-e-jaan bujh kar bulbul-e-shiraaz kun karta hun yaad husn kun tere gulistan bujh kar dil chala hai ishq ka ho jauhari lab tere lal-e-badakhshan bujh kar har na karti hai nazare ki mashaq khat kun tere khatt-e-raihan bujh kar ai sajan aaya hun ho be-ikhtiyar tujh kun apna rahat-e-jaan bujh kar zulf teri kyun na khae pech-o-tab haal mujh dil ka pareshan bujh kar rahm kar us par ki aaya hai 'wali' dard-e-dil ka tujh kun darman bujh kar