wo ek nam jo dariya bhi hai kinara bhi raha hai us se bahut rabta hamara bhi chaman wahi ki jahan par labon ke phul khilen badan wahi ki jahan raat ho gawara bhi hamein bhi lamha-e-rukhsat se haul aata hai juda hua hai koi mehrban hamara bhi alamat-e-shajar-e-saya-dar bhi wo jism kharabi-e-dil-o-dida ka istiara bhi ufuq thakan ki rida mein lipatta jata hai so hum bhi chup hain aur is sham ka sitara bhi
This is a great sahil ka kinara shayari. Please share if you liked this!!!