wo samajhta hai use jo raaz-dar-e-naghma hai aah kahte hain jise sirf ek sharar-e-naghma hai munhasir jis par azal se karobar-e-naghma hai dard ki aankhon mein wo khwab-e-bahaar-e-naghma hai zinda rahne ki tamanna ho to phir kya kuchh na ho dil ke sannate pe mujh ko e'tibar-e-naghma hai kis se kije aur kyun kije bayan-e-soz-e-dil ye bhari duniya to yaro pasdar-e-naghma hai aur bhi do-gam ai mahrum-e-aish-e-zindagi hadd-e-girya se zara aage dayar-e-naghma hai naghma-zan hun yun ki yaron ka bharam qaem rahe warna mahfil ki faza na-saz-gar-e-naghma hai ab hai lahje mein nukila-pan labon par zahr-e-khand ab yaqin aaya ki 'nazish' raaz-dar-e-naghma hai