ye TuTi kashtiyan aur bahr-e-gham ke tez dhaare hain

ye tuti kashtiyan aur bahr-e-gham ke tez dhaare hain
kinaron se hain ummiden na maujon ke sahaare hain

nahin malum kya kya rang badlegi abhi duniya
nigah-e-waqt ke ai dil bahut nazuk ishaare hain

mere aansu to jazb-e-khak ho kar rah gae kab ke
darakhshan un ki palkon par abhi tak kuchh sitare hain

hamari aur tumhaari zindagi mein farq hi kya hai
wahi baaten tumhaari hain wahi qisse hamare hain

ibarat hai unhin se dastan-e-zindagi 'muztar'
kisi ki yaad mein jo zindagi ke din guzare hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close