aa ke patthar to mere sahn mein do chaar gire jitne us ped ke phal the pas-e-diwar gire aisi dahshat thi fazaon mein khule pani ki aankh jhapki bhi nahin hath se patwar gire mujhe girna hai to main apne hi qadmon mein girun jis tarah saya-e-diwar pe diwar gire tirgi chhod gae dil mein ujale ke khutut ye sitare mere ghar tut ke bekar gire kya hawa hath mein talwar liye phirti thi kyun mujhe dhaal banane ko ye chhitnar gire dekh kar apne dar-o-baam laraz jata hun mere ham-sae mein jab bhi koi diwar gire waqt ki dor khuda jaane kahan se tute kis ghadi sar pe ye latki hui talwar gire hum se takra gai khud badh ke andhere ki chatan hum sambhal kar jo bahut chalte the na-chaar gire kya kahun dida-e-tar ye to mera chehra hai sang kat jate hain barish ki jahan dhaar gire hath aaya nahin kuchh raat ki daldal ke siwa hae kis mod pe khwabon ke parastar gire wo tajalli ki shuaen thin ki jalte hue par aaine tut gae aaina-bardar gire dekhte kyun ho 'shakeb' itni bulandi ki taraf na uthaya karo sar ko ki ye dastar gire