aaankhon mein sitare se chamakte rahe ta-der ek ghar ke dar-o-baam ko takte rahe ta-der aansu to hue khushk pa girya raha jari bachchon ki tarah ro ke sisakte rahe ta-der us shakh se ek mar-e-siyah lipta hua tha lekin wahin tair bhi chahakte rahe ta-der kya lams tha us dast-e-hinai ka tah-e-ab angare se hathon mein dahakte rahe ta-der ek aag si jalti rahi ta-umr lahu mein hum apne hi ehsas mein pakte rahe ta-der wo garmi-e-anfas wo jade ki khunuk raat ehsas mein shoale se lapakte rahe ta-der