aabaadiyon mein kho gaya sahraon ka junun

aabaadiyon mein kho gaya sahraon ka junun
shahron ka jamghaton mein gaya ganw ka sukun

haalat ke asir hue maskh ho gae
chehre pe jin ke daudta tha nazuki ka khun

tahzib-e-nau ki raushni mein jal-bujhe tamam
mazi ki yaadgar mere ilm aur funun

bechain zindagi ke taqaze ajib hain
phir us jagah chalen jahan kho aae hain sukun

ye tajraba bhi gardish-e-haalat se hua
kaise saped hota hai har aashna ka khun

lo kaam hosh se ye naya daur hai 'matin'
wahshat na sath degi na kaam aaega junun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close