chhod kar un ko hamara aasra koi nahin ma-siwa un ke sahaara dusra koi nahin mamba-e-asrar ishq-e-kibriya koi nahin un se badh kar aaina-dar-aina koi nahin dar pe pahra hai lagi hain qainchiyan diwar par ho bhala didar kaise rasta koi nahin jhank kar khidki se khud parda gira dete hain wo jab ki is manzar se manzar khushnuma koi nahin mah-rukh ki zulf se aise bana pur-nur chand ishq ki duniya mein is jaisi ziya koi nahin gum hua rahta hun un ki yaad mein har aan main is se badh kar aur ehsas-e-wafa koi nahin meri khwahish hai sada phulo-phalo jaan-e-bahaar dil ki dhadkan se bhi aage ki dua koi nahin dekhiye maghrib se nikla hai hamara aaftab hum ko hairat ye hui hairat-zada koi nahin meri mayyat qabr tak dushman ke kandhe par gai kaenat-e-ishq se aaya gaya koi nahin qabr ki aaghosh mein ja kar 'falak zahir hua monis-o-hamdam amal ke ma-siwa koi nahin