aadatan mayus ab to sham hai hijr to bas muft hi badnam hai aaj phir dhundla gaya mera khayal aaj phir alfaz mein kohram hai algani par tang kar din ka libas raat ko ab chain hai aaram hai naqs tabiron mein kyun karna rahe khwab hi jab ke hamara kham hai mukhtalif shaklen banana waqt ka bas yahi to gardish-e-ayyam hai is firaq-e-na-tawan mein aaj phir ye ghazal bhi lo tumhaare nam hai barf ke dariya kinare aaftab ya wahan mashuq lala-fam hai falsafa koi zaruri to nahin maskhari bhi shairi mein aam hai yar batla do mujhe us ka pata mujh ko 'ulfat' se zara sa kaam hai