ab zamin-o-asman ke sab kinaron se alag

ab zamin-o-asman ke sab kinaron se alag
gadh raha hun apni duniya in sitaron se alag

gard meri ud rahi hai chand-taron mein kahin
tarz us ne pai hai sab khaksaron se alag

pattharon ko aaine mein qaid karne ka hunar
rah main ne ye nikali hai hazaron se alag

chand hi ab tum ko kah kar baat ko pura karun
kaun dhunde lafz raij istiaron se alag

dar ye dil ka khul gaya hai khud-ba-khud hi aaj kyun
un ki nazron ne kiya hai kuchh ishaaron se alag


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close