aadhon ki taraf se kabhi paunon ki taraf se

aadhon ki taraf se kabhi paunon ki taraf se
aawaze kase jate hain baunon ki taraf se

hairat se sabhi khak-zada dekh rahe hain
har roz zamin ghatti hai konon ki taraf se

aankhon mein liye phirte hain is dar-badari mein
kuchh tute hue khwab khilaunon ki taraf se

phir koi asa de ki wo phunkarte nikle
phir azhdahe firaun ke tonon ki taraf se

tu wahm-o-guman se bhi pare deta hai sab ko
ho jata hai pal bhar mein na honon ki taraf se

baaton ka koi silsila jari ho kisi taur
khamoshi hi khamoshi hai donon ki taraf se

phir baad mein darwaza dikha dete hain 'adil'
pahle wo uthate hain bichhaunon ki taraf se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close