aadmi KHud ko ajab rang mein Duba dekhe

aadmi khud ko ajab rang mein duba dekhe
hont tishna hon magar aankh mein dariya dekhe

zist karne ke liye umr bahut thodi hai
apni duniya se alag kya koi duniya dekhe

dasht-e-tanhai mein ab lams-e-judai bhi nahin
aaina-gar se kaho apna tamasha dekhe

shahr-ashob mein mahtab-sifat koi to ho
zindagi bit rahi hai koi chehra dekhe

aakhiri marka-e-shab mein jo bach jae use
ye zaruri to nahin subh ka tara dekhe

mustaqil hijr ne aankhon ka hunar chhin liya
kaun ab taq mein khurshed ko jalta dekhe

aisa mumkin to nahin phir bhi ye ji chahta hai
main na ghar lautun to shab bhar koi rasta dekhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close