pahchan zindagi ki samajh kar main chup raha

pahchan zindagi ki samajh kar main chup raha
apne hi phenkte rahe patthar main chup raha

lamhe andhere dasht mein pite rahe mujhe
mujh mein tha raushni ka samundar main chup raha

mere lahu ke rang ka aisa asar hua
munsif se bolta raha khanjar main chup raha

bojhal udas raat thi khamosh thi hawa
phulon ki aag mein jala bistar main chup raha

'asrar' kyun kisi se main karta shikayaten
wo aakhiri tha rah ka patthar main chup raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close