aag ke sath main bahta hua pani sunna

aag ke sath main bahta hua pani sunna
raat-bhar apne anasir ki sunani sunna

dekhna roz andheron mein shuaon ki numu
pattharon mein kisi dariya ki rawani sunna

wo sunaengi kabhi meri kahani tum ko
tum hawaon se kabhi meri kahani sunna

meri khamoshi meri mashq hai is mashq mein tum
mar kar tir meri tishna-dahani sunna

umr na-kafi hai is hijrat-e-awwal ke liye
phir janam lun to meri hijrat-e-sani sunna

kam-sini par hai ajab haal tumhaara yaro
sun lo aasan nahin us ki jawani sunna

git mere jo pasand aate hain itne tum ko
inhin giton ki kabhi marsiya-khwani sunna

kya naya tum ko sunaun ki naya kuchh bhi nahin
nae lafzon mein wahi baat purani sunna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close