ehsas-e-ishq dil ki panahon mein aa gaya

ehsas-e-ishq dil ki panahon mein aa gaya
baadal simat ke chand ki bahon mein aa gaya

izhaar-e-ishq main ne kisi se nahin kiya
aur be-sabab jahan ki nigahon mein aa gaya

wo muskura ke dekh rahe hain meri taraf
itna asar to ab meri aahon mein aa gaya

kya puchhte ho azm-e-safar ki karamaten
manzil ka naqsh khud meri rahon mein aa gaya

hain ibtidai marhale ye ishq ke abhi
'sahil' ye soz kyun teri aahon mein aa gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close