aagahi aaine talak hai kya

aagahi aaine talak hai kya
khud ke hone mein koi shak hai kya

qarya qarya bhatak rahe hain log
sab ko andha kiye chamak hai kya

munh pe aati hain an-kahi baaten
dil mein baqi abhi kasak hai kya

andar andar se hil raha hun main
hoti mahsus kuchh dhamak hai kya

tum jo aankhon ko band rakhte ho
dekh li us ki ek jhalak hai kya

kyun nigahon mein hain meri sab rang
mere pesh-e-nazar dhanak hai kya

hai udanon ka silsila har-su
ab zamin ki tarah falak hai kya

koi manzar bhi ab nahin bhata
mustaqil aankh mein khatak hai kya

un ko aati hai kyun haya 'rahat'
pairahan sirf jism tak hai kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close