aaghaz-e-mohabbat mein barson yun zabt se humne kaam liya

aaghaz-e-mohabbat mein barson yun zabt se hum ne kaam liya
jab huk kaleje mein utthi to hathon se dil tham liya

us rashk ke hathon ek na ek har roz hi dagh uthate rahe
hum chot jigar par kha baithe jab ghair ne tera nam liya

aankhen wo jhuken milte milte rahe hosh-o-khirad jate jate
kuchh sharm ne un ko rok liya kuchh zabt ne hum ko tham liya

insan ki thi ye tab-o-tawan jo bar-e-mohabbat utha sakta
ek ye bhi hai ehsan tera kya us se tu ne kaam liya

sahra mein thande waqt hamein yaad aai jo us ki jalwagari
kuchh aisi hui wahshat dil ko dam ja ke zer-e-baam liya

aur us ke siwa kuchh kah na sake puchha jo kisi ne haal hai kya
aankhon se aansu bahne lage hathon se kaleja tham liya

luta teri donon aankhon ne paya jo mere dil ko tanha
jo ek ne sabr shakeb liya to ek ne chain aaram liya

ab tak to khabar li us ne meri jis waqt koi uftad padi
jab thokaren kha kar girne laga hath us ne lapak kar tham liya

hum laen kahan se wo aankhen jo tum ko pasheman dekh saken
ab kaisi nadamat jab hum ne sab apne sar ilzam liya

mahrumi-e-qismat kya kahiye ehsan kiya kab saqi ne
paimana-e-umr chhalak hi gaya jab hath mein apne jam liya

mauzun jo hue jazbaat-e-dil jab sher-e-'hafiz' padha hum ne
sunte hi donon hathon se samea ne kaleja tham liya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close