ye kaise numu ke silsile hain shakhon pe gulab jal-bujhe hain phaili hai sitam ki aag harsu har samt alaw jal rahe hain har aankh sawal kar rahi hai har dil mein hazar waswase hain barsi hain balaen aasman se dharti pe azab ug rahe hain mahfuz nahin panah-gahen kya aql-e-rasa ke moajize hain bazar lahu ki wahshaton ke tahzib ke nam par saje hain ghairon pe hai inhisar apna sochen bhi udhaar mangte hain suraj bhi hai dastaras mein lekin hum raushni ko taras gae hain kya jaaniye ahd-e-nau kab aae ab tak to purane silsile hain