aah ko naghma ki naghme ko fughan karna paDe

aah ko naghma ki naghme ko fughan karna pade
dekhiye kya kuchh barae dostan karna pade

ahl-e-mahfil ghaur se sunte rahen rudad-e-dil
kya khabar kis lafz ko kab dastan karna pade

rakh jabin-e-shauq mein mahfuz garmi-e-niyaz
kaun jaane tujh ko ek sajda kahan karna pade

puchhiye us se zaban-o-lafz ki majburiyan
jis ko haal-e-dil nigahon se bayan karna pade

kuchh wahi samjhega 'nazish' aaj ke mahaul ko
jis ko zindan par yaqin-e-gulsitan karna pade


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close