dhul se rah aTi ho gai manzil madum

dhul se rah ati ho gai manzil madum
kya khabar kya hai mere azm-e-safar ka maqsum

jism aaluda-e-isyan hai magar ruh meri
kitni pakiza nazar aati hai kitni masum

dhundh kar lao koi hadisa-e-qalb-o-nazar
shayad aaina ho yun zist ka makhfi mafhum

tere paikar ki jhalak daulat-e-alam warna
rang aur nur ke is sail ki waqat malum

surat-e-harf-e-ghalat mit gae hum ta ki sada
lauh-e-duniya pe rahe nam tumhaara marqum

jurat-e-jaur-o-sitam kab thi kisi mein 'nazish'
khud mere hathon rahi hai meri hasti mazlum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close