aai ai gul-ezar kya kahna

aai ai gul-ezar kya kahna
khub aai bahaar kya kahna

mehndi mal kar hai chot marjaan par
hath lala-nigar kya kahna

mujh se aashiq ke aur yun nafrin
wah shabash yar kya kahna

barq bhi darkinar rah jae
han dil-e-be-qarar kya kahna

lakh bar imtihan-e-ishq kiya
na kaha ek bar kya kahna

bahs-e-girya mein abr bol gaya
dida-e-ashk-bar kya kahna

main to rota hun aap hanste hain
yahi hota hai yar kya kahna

sakhti-e-ishq jhel le ai dil
wah re burdbar kya kahna

mar gae hum magar na rahm aaya
wahi tewar hain yar kya kahna

khar khar-e-gham-e-dil-e-pur-dard
chikh kar ai hazar kya kahna

kah to lalkar len raqibon ko
baat rakh li nigar kya kahna

josh-e-ulfat mein aur zabt ai dil
jabr par ikhtiyar kya kahna

yun to jo gul hai khub hai lekin
tera ai gul-ezar kya kahna

ai 'saba' dawa-e-anal-haq hai
khub soche ho yar kya kahna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close