aah-e-bimar kargar na hui charkh kanpa magar sahar na hui subh-e-mahshar hui shab-e-tarik surat-e-yar jalwa-gar na hui shab-e-ummid kat gai lekin zindagi apni mukhtasar na hui dur se aaj un ko dekh liya dil ko taskin hui magar na hui aankhon aankhon mein le liya wada kanon-kan ek ko khabar na hui uf ri chashm-e-itab uf re jalal barq-e-sozan hui nazar na hui fikr-e-anjam-o-hasrat-e-aghaz do-ghadi chain se basar na hui khulne wala nahin dar-e-tauba fikr-e-anjam waqt par na hui aisa rona bhi koi rona hai aastin aansuon se tar na hui hat ke baalin se log rote hain jaise bimar ko khabar na hui lut gaya sara karwan adam ek ko ek ki khabar na hui nim-jaan chhod kar chala qatil nigah-e-'yas' kargar na hui