aai bahaar shorish-e-tiflan ko kya hua ahl-e-junun kidhar gae yaran ko kya hua ghunche lahu mein tar nazar aate hain tah-ba-tah is rashk-e-gul ko dekh gulistan ko kya hua yaqut-e-lab tera hua kyun khat se jurm-war zalim ye rashk-e-lal-e-badakhshan ko kya hua us jama-zeb ghuncha-dahan ko chaman mein dekh hairan hun main ki gul ke gareban ko kya hua aane se tere khat ke ye kyun dil-e-girafta hai batla ki teri zulf-e-pareshan ko kya hua kyun gard baad se ye udata hai sar pe khak hun main to ja-e-qais bayaban ko kya hua rote hi tere gham mein guzarti hai us ki umr puchha kabhi na tu ne ki 'taban' ko kya hua