aaina-e-KHayal tha aks-pazir raaz ka

aaina-e-khayal tha aks-pazir raaz ka
tur shahid ho gaya jalwa-e-dil-nawaz ka

paya bahut kiya buland us ne harim-e-naz ka
ta na pahunch sake ghubar-e-rah-guzar-e-niyaz ka

khastagi-e-kalim ne nukta ajab samjha diya
warna harif mein bhi tha is mizha-e-daraaz ka

dair mila tha rah mein kabe ko hum nikal gae
jazba-e-shauq mein dimagh kis ko ho imtiyaz ka

bandagi aur sahabi asl mein donon ek hain
jis ka ghulam ayaz hai wo hai ghulam ayaz ka

go tahi-nasib ne dur rakha to kya hua
banda-e-khana-zad hun us ke qad-e-daraaz ka

shauq tera hai maujzan zauq tera bahana-ju
khol na den bharam kahin parad gyan raaz ka

masti-e-be-khudi se yan aankh khuli na hashr tak
yani yahi jawab tha nargis-e-nim-baz ka

aah-o-fughan ke sath sath chha gai ek be-khudi
qat-e-zaban zarur tha sham-e-zaban-daraaz ka

khak mein mil gae wale aankh uthi na sharm se
hum se hua na haq ada us ki nigah-e-naz ka

mutrib-e-khuld kya sunae wahshat-e-khasta kya sune
mo'taqid-e-qadim hai zamzama hijaz ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close