aaina pyar ka ek aks tera mange hai dil bhare shahr mein bas teri sada mange hai jism khud-sar hai ki har dard sahe jata hai aisa ziddi hai ki jine ki saza mange hai raat dhal jae to hathon ki lakiren jagen be-sukun zehn hamesha ye dua mange hai khush badan ho to zara khud ko bacha kar rakkho mausam-e-zard koi ped hara mange hai main hi khud ko kisi maqtal mein saja kar rakh dun tez aandhi koi nanha sa diya mange hai kaun hai jo ki sarabon se ulajhna chahe kaun hai jo ki mere ghar ka pata mange hai parwarish jis mein gul-e-taza ki hoti hai 'niyaz' pyar ka phul wahi aab-o-hawa mange hai