har kamand-e-hawas se bahar hai By Ghazal << aashiyana mera barbaad na... aaina pyar ka ek aks tera... >> har kamand-e-hawas se bahar hai tair-e-jaan qafas se bahar hai maut ka ek din muayyan hai zindagi dastaras se bahar hai qafile mein hum us maqam pe hain jo sada-e-jaras se bahar hai koi shai ghar ki khush nahin aati wo baras do baras se bahar hai Share on: