aaina saf tha dhundla hua rahta tha main

aaina saf tha dhundla hua rahta tha main
apni sohbat mein bhi ghabraya hua rahta tha main

apna chehra mujhe katbe ki tarah lagta tha
apne hi jism mein dafnaya hua rahta tha main

jis mohabbat ki zarurat thi mere logon ko
us mohabbat se bhi baz aaya hua rahta tha main

tu nahin aata tha jis roz tahalne ke liye
shakh ke hath pe kumlaya hua rahta tha main

dusre log batate the ki main kaisa hun
apne bare hi mein bahkaya hua rahta tha main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close