aaj muqabla hai saKHt mir-e-sipah ke liye

aaj muqabla hai sakht mir-e-sipah ke liye
ho gae sar kai qalam ek kulah ke liye

taza-rukhi-e-kaenat dhund rahi hai aaina
justuju hai hazar mein ek gawah ke liye

khul hi gaya tilism-e-dost ain visal mein ki thi
ek shab-e-hijr zindagi lazzat-e-ah ke liye

ek shab-e-khud-numai mein ismat-e-be-maqam ne
kitne sawal kar liye ramz-e-gunah ke liye

surat-e-gard-e-karwan hai gham-e-manzil-e-jahan
khwab-e-junun-e-taza-kar chahiye rah ke liye

aatish-e-kimiya-garan kaam na aa saki koi
surma hai khak-e-dil meri chashm-e-siyah ke liye

meri khud-agahi bhi ki tere visal ne talab
hijr-e-hazar-shab ke baad ek gunah ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close