aaj sauda-e-mohabbat ki ye arzani hai kaam be-kar jawanon ka ghazal-khwani hai gham ki takmil ka saman hua hai paida laiq-e-fakhr meri be-sar-o-samani hai sang o aahan to bane aaine un ki khatir dil na aaina bana sakht ye hairani hai mujh se is darja khafa kyun ho koi parda-nashin aarzu did ki jab fitrat-e-insani hai faisla dil ka mohabbat mein hai rahbar apna fikr kiya manzil-e-jaanan agar anjaani hai wo karen ya na karen apni jafa se tauba mere dil ko magar ehsas-e-peshemani hai
Please share if you liked this!!!