aaj yun mauj-dar-mauj gham tham gaya is tarah gham-zadon ko qarar aa gaya jaise khush-bu-e-zulf-e-bahaar aa gai jaise paigham-e-didar-e-yar aa gaya jis ki did-o-talab wahm samjhe the hum ru-ba-ru phir sar-e-rahguzar aa gaya subh-e-farda ko phir dil tarasne laga umr-e-rafta tera e'tibar aa gaya rut badalne lagi rang-e-dil dekhna rang-e-gulshan se ab haal khulta nahin zakhm chhalka koi ya koi gul khila ashk umde ki abr-e-bahaar aa gaya khun-e-ushshaq se jam bharne lage dil sulagne lage dagh jalne lage mahfil-e-dard phir rang par aa gai phir shab-e-arzu par nikhaar aa gaya sarfaroshi ke andaz badle gae dawat-e-qatl par maqtal-e-shahr mein dal kar koi gardan mein tauq aa gaya lad kar koi kandhe pe dar aa gaya 'faiz' kya jaaniye yar kis aas par muntazir hain ki laega koi khabar mai-kashon par hua mohtasib mehrban dil-figaron pe qatil ko pyar aa gaya