aakash ki hasin fazaon mein kho gaya

aakash ki hasin fazaon mein kho gaya
main is qadar uda ki khalaon mein kho gaya

katra rahe hain aaj ke suqraat zahr se
insan maslahat ki adaon mein kho gaya

shayad mera zamir kisi roz jag uthe
ye soch ke main apni sadaon mein kho gaya

lahra raha hai sanp sa saya zamin par
suraj nikal ke dur ghataon mein kho gaya

moti samet lae samundar se ahl-e-dil
wo shakhs be-amal tha duaon mein kho gaya

thahre hue the jis ke tale hum shikasta-pa
wo saeban bhi tez hawaon mein kho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close